FHM Pakistan
FHM Roman

Jab tak apne per baat nahi ati, tab tak kisi ko parwah nahi hoti

Is topic per toh ek poora din bhi baat ki jaye toh kum hai. Kiunki bhai yeh hamare mulk ka almiya hai k hum interest tab hi lete hain jab baat apne per ati hai. Baaki phir India Pakistan pe attack karde, World War 3 hojaye, kisi ki divorce hojaye ya phir Pakistan mein Zainab jaisa ek or incident hi kiun na hojaye, all we say is “HAMEIN KYA?”. Or Jo thora bohat concern hota bhe hai toh Social Media ki had tak. Woh bhe sirf isliye k social circle mein embarrassment na ho! Matlab selfish hone ki bhe hudh hoti hai. Aise logon ko agar define kiya jaye toh kuch yun hoga:

1. Agar koi or traffic signal tor de, toh usko galiyan dete hain magar khud signal torna apna haq samjhte hain! Jaise inke baap ka mulk ho!!

2. Khud fashion karne mein up-to-date because its a need, magar rishtedaar ki beti ko dupatte k bina dekh len toh ” HAWW HAAYE ASTAGHFIRULLAH”

3. Bete k liye bahu chahiye chaand si, bachelors degree wali or sughar, magar apni khud ki beti chahe dark complexion or Matric pass hi kiun na ho… “Don’t you dare to judge!”

4. Road per kisi ko mara huwa dekh kar bhi hum zaroori nahi samjhte help karna k police case na hojaye, lekin wohi situation khud per ati hai or koi help na kare then we say “K logo mein koi insaniyat hi nahi rahi.” Like really???

5. “Buhat moti hogayi ho,” “Rung kitna kala hoagaya hai,” “Shaadi kyun nahi ki abhi tak”….yeh baatein hurt nahi karti jab tak khud per nahi ati.

Yeh koi specific log nahi hain. Yeh hum sab hain. Hum sab ko sirf tab hi parwa hoti hai jab khud per baat ati hai. Only then we can actually feel how much it hurts. So dosron ko judge or criticize karne se best hai k wohi situation pehle khud per rakh k dekhen.

Related posts

Pakistani team ne diye bohot dhoke, but ITS OK…

FHM Pakistan

Jo log jahez mangte hain unhe paise dene chahiye, BETI nahi!

FHM Pakistan

Single ho ya relation main, logo ne jeene nahi dena

FHM Pakistan